2025 Pravesh Kundli, नए साल में प्रवेश के समय ग्रहों की स्थिति कैसी रहेगी , जानिए 1 january की रात्रि 12:01 pe gochar kundli ki sthiti, भविष्यवाणी. नया साल नए सपनो को लेके आता है और नई उर्जा से हमे भर देता है, हम अपने लक्ष्य की और नए जोश के साथ बढ़ने के लिए नए संकल्प लेते हैं | ग्रहों की स्थिति भी सभी लोगो को बहुत प्रभावित करती है | तो आइये जानते हैं की इस साल के प्रवेश के समय ग्रहों की स्थिति कैसी रहेगी और वर्ष की शुरुआत १२ राशियों के लिए क्या ख़ास लेके आ रहा है | 2025 Gochar Kundli New Year Rashifal आइये जानते हैं नए साल की पहली कुंडली में ग्रहों की स्थिति कैसी रहेगी? हिन्दू पंचांग के अनुसार नए साल 2025 की शुरुआत शुक्ल पक्ष की एकम से होगी और दिन रहेगा बुधवार इसी के साथ गोचर कुंडली में कन्या लग्न रहेगा जिसके स्वामी बुध ग्रह है जो की इस बात का संकेत है की इस साल व्यापार व्यवसाय नई उंचाइयो को छुएगा | सूर्य और चंद्रमा धनु राशि में रहेंगे | मंगल अपने नीच राशि में रहेंगे | बुध ग्रह वृश्चिक राशि में रहेंगे | गुरु ग्रह अपने शत्रु राशि वृषभ में रहेंगे | शुक्र अपने मित्र राशि कु...
मंगला गौरी व्रत का महत्त्व, कैसे करते है ये, किनको करना चाहिए मंगला गौरी व्रत और कब?, जानिए सबकुछ इस लेख में|
Mangala gauri vrat shrwan mahine me kiya jaata hai wo bhi har mangalwar ko. Ye vrat un logo ke liye bahut hi khaas hota hai jin logo ke vivah hone me pareshani aa rahi hai ya fir jin logo ko vivah ke baad swasthy sambandhi pareshani aa rahi hai. Agar kundli me mangal dosh ho to uske nivaran me bhi ye vrat bahut faydemand hota hai.
about Manglagauri Vrat Mahima in Hindi |
Anek samasyaao ka samadhan hai mangala gauri vrat . Bhagwati maa parwati ki kripa prapt karne ka achook saadhan hai ye vrat.
Is varsh 2024 me 4 din milenge mangala gauri vrat ke liye -23 जुलाई, 30 जुलाई, 6 अगस्त और 13 अगस्त . In 4 din koi bhi mata ki pooja karke jivan mai khushali ke liye prarthna kar ke laabh le sakte hain.
Aiye ab jante hai Mangala Gauri Vrat Karne Ki Vidhi:
- Agar aap is din ka laabh lene ke ichuk hai to aapko ye karna chahiye-
- Is din subah jaldi uthe brahm mahurat mai.
- Apne nitya karne ke baad maa ka ek chitr chauki par rakhe, laal vastra bicha ke, fir waha dhoop aur ghee ka Deepak jala de, fir apne vrat karne ka sankalp le.
- Sankalp mantra aap apne man me hindi me bole ya fir diye gaye Sanskrit mantr ka prayog bhi kar sakte hain 'मम पुत्रापौत्रा सौभाग्यवृद्धये श्रीमंगलागौरीप्रीत्यर्थं पंचवर्षपर्यन्तं मंगलागौरीव्रतमहं करिष्ये’
- Pure din me sirf ek hi samay fariyal kare ya falahaar kare.
- Khaas baat is vrat ki pooja me sabhi vastui 16 li jaati hai jaise maala, ilaaychi, laung, supari, fal, paan, laddu, chudiya aur mithaai. Ye sab 16 ki sankhya me arpit hongi mata ko.
- Iske saath hi panch meve aur 7 prakaar ke anaaj jaise gehu, urad, moong, chana, jau, chawal aur masoor bhi maa ko arpit kare.
- Iske baad maa mangala gauri ki katha sune jo ki is prakar hai :
- Ek seth the jinke koi santan nahi thi, apne guru se ashirwad leke unhone maa parwati ki upaasna ki aur unhe santan prapt hui parantu uski aayu sirf 16 varsh ki thi. 16 varsh me sarp ke katne se uski mrityu hogi aisa bhi bola gaya.Tab jyotish se paramarsh karke ye pata chala ki agar 16 varsh se pahle uska vivah kisi aisi kanya se ho jaaye jisne mangala gauri ka vrat kiya ho to ye bach sakta hai.aur aisa hi kiya gaya jisse seth ke putra ko dirghayu ki prapti hui, akaal mrityu tal gaya.
Aur tabhi se is vrat ki mahimaa ko jaankar ise kiya jaane laga.
Kya kya fayde ho sakte hain is vrat ko karne ke:
- Ye vrat mahilaaye karti hai apne putra ki swasthy ke liye aur saath hi apne pati ki lambi ayu ke liye.
- Jin kanyaao ka vivah nahi ho raha ho we bhi is vrat ko karke achha jivan saathi prapt karti hai.
- Saubhagya prapt ke liye mangala gauri vrat ko kiya jata hai.
- Kuch aise bhi dampatti hai jinke beech me talaak ki naubat aa jaati hai , we mahilaaye bhi is vrat ke prabhaav se apne jivan ko sukhi kar sakti hai.
- Kundli me agar mangal dosh ke karan jivan me bahut pareshani aa rahi ho to bhi is vrat ko karna chahiye. Mata ki kripa se ashubh mangal ka prabhav dur hota hai aur swasthy ke saath achha jivan prapt hota hai.
- Note: Maa ka pujan karke 16 kanyaao ka pujan karke unhe bhi ann, dhan uphaar dene se aapko iska bahut achha fal sheeghr prapt hoga.
Agar aap ko bhi vivah me pareshani aa rahi hai to dikhaaiye jyotish ko apni kundli aur janiye apne liye bhagyashali ratn, bhagyashali pooja, vivah hone ka samay aadi.
Janiye jyotish se ki kis karan se vivah me pareshani aa rahi hai.
Janiye kis karan se vivah ke baad santan hone me pareshani aa rahi hai.
Kis karan se pati patni me nahi ban raha hai.
Kya kare sukhi vaivahik jivan ke liye.
Mangala gauri vrat ka mahattw, kaise karte hain mangala gauri vrat, kinko karna chahiye, kab kare, everything about mangala gauri vrat in hindi jyotish.
Comments
Post a Comment